Monday, July 16, 2012

Dor aur Patang !

Tum ho ek azaad udti hui patang aur main hoon tumko thamne ki koshish karti hui ek dor,
Ehsaas nahi iss baat ka ki hum miley kaise thhey aur jaa rahey hain kis oor!
Pata nahi kisne kab banndh diya humein aur maine pakad liya tumhara sang,
Yeh shayad iss liye hua ki main tumhare sang udd sakoon aur dekh sakoon aasman ke kai rang!
Abhi yeh aasman khula hai aur hawa beh rahi hai, udo jitna ud sako aur lehrao jitna lehra sako.
Jitni oonchi tumhari udan hogi, utni hi meri bhi hogi, aur main bhi utna hi lehraooounga jitna tum lehraogi!
Naa tez hawa ka hai dar naa shaant hawa mein tum aur main beasar
ab udd hi chale hain toh hain toh ho gaye hain sahi galat se bekhabar!
Jab tumhare saath udta jaata hoon toh apni uljhanon ko suljha hua pata hoon
jitna kheechogi mujhe main khincha chala aaounga
rokunga na udne se kabhi tumko par saath hamesha nibhaoounga
tumhari udaan hi mein meri udaan hai
jab tak hum udenge tab tak hi mujhmein jaan hai!
iss khule aasman mein kismat humein naa jaane kitne pench ladwaegi
aakhir in palon mein hi toh kismat mujhe aazmaegi
thaame rakhoonga tumhein tab tak jab tak mujhe koi kaat nahi deta  ya tum mujhe chhod nahi deti!
tab reh jaogi tum bina dor ki patang si aur main dor ek kati patang sa berang!
Main tumko thaamne ki zurrat karti hui dor aur tum mujhe suljhaati hui patang!

1 comment:

  1. why have you stopped blogging??
    PS - I am not a stalker really :-D

    ReplyDelete